MANOOS-E-TAMNNA
Manoose-e- tamnna bara hi na manoose sa lafz lagta hey lakin ahley Dil iss lafz sey taqreeban manoose hi hotey hein kukey woh Tamnna kerna bhool jatey hein ya iss ki zarorat hi mehsoos nahi kertey kuki woh aik assey dabbey mey band ho jatey hein jo unki kul kayenat hota hey jis mey woh aik puri dunia abad ker letey hein aur woh dabba muqaffal hota hey jabkey uski chabi unhi k haath mey hotee hey pr woh usko kholna nahi chatey unhey issee terhan zindagi guzarney ki adat ho jatee hey. woh andar hi andar aik khas qism ki ghotahn ka shikar ho jatey hey phi bhi iss sey baher nikalna chahetey hi nahi masty aur bekhudi unhey unn sey juda ker detee hey uss waqt woh ! woh nahi hotey jo sab ko nazar arahey hotey hein nahi jissko koi naam diya nahi jasakta ya hum naam dena nahi chatey kuki yeh baher ki dunia bilkul mayoose ho jatey hein,bahar ki dunia ke log unhey pagal ya dewana samajhtey hein. ...