Amman SYEDA QAMAR JEHAN KAZMI
Amman , Amman chali gaein woh iss dunia mey nahi rahein,iss jahan-e-fani ko kherabad keh kr apney Rabb ke pass chali gaeen(inna lilalahi wa inna alehey rajeun) jahan janey ki unki bari chahat thi aur jahan janey ke liye woh hr waqt taeyyar thein,unka Dil ab iss dunnya mey nahi lagta tha aur woh majboren iss dunia mey reh rahien thien,jism yahan tha magar dil kissee aur jaga tha hosakta hey unka dil apney Mehboot ki taraf ho,jism Mehboob ki kushnodi mey laga hua tha aur Dil deedar ki aas mey janey kahan kahan hazree de raha tha bas aik Roh thi jo hukmey Illahi ke intezar mey thi.Dil ki becheinian kam ker gaen aur akheri waqt mey bhi Amman ke Dil ne unka bara sath diya unhein dil ka dora para jiss sey woh janber na ho sakein aur dil iss qable nahi tha k uska treatment hosakey kuki iss mey jeeney ki arzo thi hi nahi unkey Dil mey tou bass Allah ki mohabbat josh marti thi.Aaqa alehe slam aur Nana jan qibla aur tamam buzurgoun ki mohabbat mey rangi hoee unki zindagi ...