Posts

KHUD KI TALASH

Bhatakna meri fitrat mey hey,balkey yeh sirf Fitrat hi nahi meri zarorat bhi hey kuki isskey bagheir mey khud ko talash nahi ker sakti . Mujhey ye achi terhan maloom hey ke mera naam kia hey, mey kon hun, mera  Hasab Nasab kia hey,magar mey abhi tak apney aap ko dhuondh nahi paee hun.Mey sab ko dekhti hun aaur sab ko samajhney ki koshish kerti hun aur boht sara waqt issi mey sarf kerti hun jiska natija ye nikalta hey ke mey apney aap sey aur durr hojati hun yani BeyRah ho jati hun,magar yeh bhatakna mujhey thaka deta hey aur jagney nahi deta,kuki ye meri arzo nahi hey aur na hi meri Justajo.Mujhey gum hona hey khud ko talash kerney ke liye,Jagna hey Safar ke liye aur yaqinan ye hi mera Maqsad-e-Hayat hey  Akhir meney Manzil pr bhi pohanchna hey aur mey Rasta talash kiye bina kessey apna masqsad paon gi .Meri manzil-e-maqsood bilkul mery samney hey pr kis ko pata rasta kahan sey shuru hoga aur kahan sey hokey guzrey ga ,yehi justaju mujhey bhatkayey rakhti hey aur aisa na hi tou Aramga

ANA

Yeh mery phechey phechey boht duor tak chalti rahi, meney bhi iss sey jaan nahi churahi kuki jab bhi mey apney aap ko tanha feel kerti tub tub ye apney honey ka ehsas dilati aur mujhey iss key huoney sey kabhi koi nuqsan bhi nahi hua. Meri Ana meri dost hi rahi ,mujhey kissi ke samney jhukney nahi diya .

ASHIQ-E-BAMURAD

Ashiq-e-ba murad aur Ashiq-e-bey murad mey nazar aney wala farq boht hi thora hey ke shayed hi koi samakh sakey   magar nazar naa  aney wala farq boht hi bara hey,aur woh farq sirf uss hi ko pata hota hey kuki uskey liye heyat o mamat hey lakin jo dosron ko dekhaee dega woh ye ke Bey murad ka Sar utha hua hoga yani buland hoga aur cherey pr pareshani aur takaleef zahir ho rahi hongi tabiyat mey bechani,apni hasti ki khaber hogi Roh sey bekhabar  hoga jabkey Baa murad ka Sar jhuka hoga,masti mey hoga aur cherey pr sakoon aur tamkinat ke rang wazeh tour pr dekhaee dey rahey hongey apni hasti sey bekhaber aur masti sey bakhabar hoga

Kahlil Gibran: On Children

Your children are not your children. They are the sons and daughters of Life's longing for itself. They come through you but not from you, And though they are with you yet they belong not to you. You may give them your love but not your thoughts, For they have their own thoughts. You may house their bodies but not their souls, For their souls dwell in the house of tomorrow, which you cannot visit, not even in your dreams. You may strive to be like them, but seek not to make them like you. For life goes not backward nor tarries with yesterday. You are the bows from which your children as living arrows are sent forth. The archer sees the mark upon the path of the infinite, and He bends you with His might that His arrows may go swift and far. Let your bending in the archer's hand be for gladness; For even as He loves the arrow that flies, so He loves also the bow that is stable. --------------------

HAZARAT SAKHI SARWAR rehmatullah aleyh

Jab hum car sey uterey tou garam hawa ke thpheron ney hamara istaqbal kia car kuki air conitioned thi iss liye thaperey shidad sey mehsose huey,June ki 9 ya 10  thi zahir hey garmi bhi bohat thi lakin lagan thi Darbar ki haziri ki iss liye chal parey.Agey darbar tak ke janey ke liye rasita 10 minut ka tou hoga sou chaltey rahey charhaee charhni thi iss liye thori mehnat bhi kerni parh rahi thi lakin nazar khuch khas nahi arah tha bas Manzil pey nazar thi ,jab dergah tak phonch tou bahre hi jotey utaney parey aur jessey hi jotey utarey Paon jalney ka ahsas bohat shidat sey hua,Paon zameen pr therr nahi rahey they saye saye mey hotey huey ander derbar tak ponchey,Sarkar ko Salam kia,Qadam bosi ke liye chokhatt ko chuma phir jessey hi ander dakhil honey lagi klhyal aya ke wazo kiye kafi daer hogaee hey iss liye dobara wazo kerney ke liye barey betey Abdullah ko leker Wazokhaney ki taraf gaee beech mey chota sa sehan tha 10 sey 15 second ka rasta tha dhuop ki shidad sey farsh tapp raha th

KAMRA-E-IMTEHAN

Zindagi kia hey?aksar log kehtey Zindagi ghamon ka paharr hey, koi kehta hey ke khushion ki bahar hey kissi ke mutabiq zindagi aik test hey koi kehta hey iss mey masail hi masail lakin boht sarey logon ki terhan mey bhi yeh hi samajhtee hun ke yeh Zindagi aik Imtehan hey aur yeh Dunia kamra-e-imtehan hey jahan sabhi ko test dena hi perhta hey,sab ke apney apney imtehani parchey hein kissi ka bhi parcha aik jessa nahi hota han thora bohat milta julta zarore hey lakin sab ke mukhtalif hi hotey hein aur zahir hey unkey jawab bhi taqreeun mukhtalif hi hotey hein,pr hal sab hi sawalat kerney hotey hein,kuch jawabat ka result tou humey zindagi hi mey milta hey.aur luch ka marney ke baad aur boht son ka natija tou humari naslon ko milta hey ,hamari auolad isska phal khatey hein iss liye bohat soch samajh ker percha hal kerna chaeiy zara bhi ghalti maaf nahi aur hojaey tou nidsmat zarori hey kuki baghair nidamat ke Allah bhi maaf nahi ketta sur yeh Azab hamari Naslon ko jhelna parhta hey.

Garmion ki dopher

Garmian kessi bhi hun innn mey insan kitna hi garmi sey pareshan ho lakin Garmion ki Dophey boht hi ajeeb hoti hey iss mey bohat Pur asrariyet hoti hey,aik bechain ker deney wala Sakoon hota hey (Sardion ki banisbat  neend bhi khub ati hey ya yeh kahein ke neend pori hojati hey).Isski dopher jitni chilchilati ho boht kuch sochney pr majboor kerti hey balkey beshumare kheyalat zehan mey atey hein lagta hey jessey zehan ke dareechey khul jatey hei aur phir purani yadein bhi hoti hein aur hal mey bhi masti hoti hey ,apney aap ko bhulaney ka dil chata hey ,chup rehney aur gum rehen ka mann kerta hey, bas ghamey Dunia na ho aur dunia ki Parwa bhi na ho tou aap apney aap mey nahi hotey aik trans hota hey aik hisar hota hey