Posts

THE DAY OF TEST, ELECTION DAY 2013

Aaj election ki raat hey iss waqt raat ke 3:00 baj rahey hein ,subh 9:00 bajey polling shuru hogi aur hamarey mulk Pakistan ka aik naya baab khuley ga ya tou hamari taqdeer sanwer jaeygi ya ?????? lakin humey mayus nahi hona kuki humney soch lia hey ke humey apney Pakistan ko Naya Pakistan banana hey.Ye raat  kam az kam mujhey boht bechein ker rahi hey, kuki pichley kaee salon sey hum budamni aur nagahani afaton ka shikar hein,dekhein 11 may ki voting ke baad 12 may ka suraraj hamarey liye kia Naveed leker ata hey.Aaj raat mey apney aap ko aik chouti bachi mehsoos ker rahi hun jo( apni hr zidd aur khuhish ro ro ker puri kerwaleti hey ) issiterhan mey apney rab ker huzur ro ro ker yehi dua mabg rahi hun ke Allah humein ab sukoon aur khush hali ata ker aur mujhey yaqeen hey ke issmulk ka hr wo shaks Naya Pakistan ki Umeed kerta hey wo bhi meri terhan bechein hoga .Aaj ka din hum mey sey shayed koi bhi kabhi nahi bholey ga kuki hr shakhs yehi soch raha hey ke iss Mulk Pakistan ke liye hu

SUNEIN KIA BOL RAHA HEY PAKISTAN......... WRITTEN BY SYED MANZOOR-UL- ISLAM

Image

CHUPPEY RUSTUM

Hum kissi ke dukh ka kessey andaza lagein jab ke hum chatey hey ke apnon ke sath sath dosron ke gham mey bhi shareek hon ,lakin cheron sey pata lagana mushkil hey kuki insan bhi ajeeb hey woh apni hr kafiat ko chupaney ka huner janta hey hr insan apney ander aik Qaliyee gar hota hey aur woh apna chera chamkaney ka mahir hota hey, ager ghour krein tou hum khud iss hi ki practice kr rahey hotey Yani jab hum bohat khush hotey hein tou hamree ankh mey anson ajatey hein aur baaz bar ye shukraney ke hotey hein aur kabhi khushi chehin janey ka bhi gham hota hey jo anso banker behney lagta hey.  Jab hum gham mey hotey hein tou hum khub hanstey hein baat baat pr hansi arahi hotee hey jiss ko hum control bhi nahi kersak rahey hotey hein bas yeh hi kafiyat hotein hein jinka hum shikar hojatey .lakin agar hum apney aapko in ka shikar na banayein tu hum apney aap ko kessey janein gey asl mey tou apney aap ko janna zyada zarori hey kuki khud ko pehchan kr hi hum auron tak pohncey gy.

1rst january

Saal ka phela din bhi guzar gaya aur yahan khuch naya nahi hua aur ho bhi kia sakta hey kuki hum ney kabhi khuch naya kerney ka socha hi nahi hey.wohi puraney tareqey sey naya saal manaya gaya wohi nach gana masti aur fireing jo hamesha kertey aye hein wohi kia .raat 12 bajey whi tamasha tha aur hum thay koi rokney tokney wala nahi fireing ka hona humaree hr khushi ka hissa hey jabkey humey pata hey ke iss sey humaree hr khushi gham mey badal jatee hey chaey shadi mey ho ya jeet ki khushi ya iss terhan ke events  hon hr jageh iss ki wajeh sey khushian gharat ho jati hein pr kia krey koi aur tareeqa nahi sojhta siwaye iss ke aur jo isska nishana bantey hein unka Allah tou hey aur uskey baad media waley hein .effected logon ke gharon mey kia hua ya wahan kia khuram macha isska koi pursaney haal nahi .                                            Behrhal yeh bhi zindzgi ka aik hissa hey ab jo hona tha wo ho gaya,baqi saal Allah sey dua hey   acha guzerey Ameen

HUKMARANI

Hr insan hukmarani ka shouq rakhta hey chahey woh chota ho ya bara, ameer ho ya ghareeb, sahib-e-ikhtiyare ho ya bey ikhtiyare,iss sey kissi ko koi farq nahi parhta Hukm chalaney ka shoq hr aik ko hota hey .hamarey yahan Mardon mey tou ye boht aam hey pr auratein bhi pheechey nahi hein Mia pr daao chal gaya tou chal gia warna bachey tou hein.Afsar apney maathet  pr aur woh apney sey kam pr Hukm chalaney sey guraise nahi kerta bas jisko jahan moqa mil jaey,Hukmarani ka shouq rakhney waley akser afrad ko ye baat mery khyal mey pata hi nahi hoti ke Hukmarani kerne ky dou( 2) tareeqey Aik ye ke Dil pe ki jaey Dosery ye k Dimagh pr ki jaey,zyda ter loug dimagh pe hukmarani pr zyada  zore detey hei iss ky faidey barey hein iss mey aapki Ego hurt nahi hoti aur foren ke foren baat puri hojatee hey bandey ki chahey aissi ki tessi hojaey,yeh hi tou chata hey Dimagh pr hukum chalaney wala bas ye tou boht asan kaam hey aur issko kerney mey koi nuqsan bhi nahi lakin Dil pr hukmarani kissi kissi ko

KHATA KA PUTLA

Insan khata ka putla hey ye jumla mey ney bachpan sey leker ab tak najaney kitni martaba suna hey aur sun sun ke thak gayee hun yeh hum kehtey hi isliye hein ke khata kersakein ,khata kerney mey maza jo ata hey aur chatey hein koi humein dekhey bhi nahi aur agar dekh bhi ley tou iss jumley ko dohradein , kuki hum apni hi ghaltion ko nazarandaz kertey huey ye baat bohat bar dhuratey hein,