Posts
CHUPPEY RUSTUM
- Get link
- X
- Other Apps
Hum kissi ke dukh ka kessey andaza lagein jab ke hum chatey hey ke apnon ke sath sath dosron ke gham mey bhi shareek hon ,lakin cheron sey pata lagana mushkil hey kuki insan bhi ajeeb hey woh apni hr kafiat ko chupaney ka huner janta hey hr insan apney ander aik Qaliyee gar hota hey aur woh apna chera chamkaney ka mahir hota hey, ager ghour krein tou hum khud iss hi ki practice kr rahey hotey Yani jab hum bohat khush hotey hein tou hamree ankh mey anson ajatey hein aur baaz bar ye shukraney ke hotey hein aur kabhi khushi chehin janey ka bhi gham hota hey jo anso banker behney lagta hey. Jab hum gham mey hotey hein tou hum khub hanstey hein baat baat pr hansi arahi hotee hey jiss ko hum control bhi nahi kersak rahey hotey hein bas yeh hi kafiyat hotein hein jinka hum shikar hojatey .lakin agar hum apney aapko in ka shikar na banayein tu hum apney aap ko kessey janein gey asl mey tou apney aap ko janna zyada zarori hey kuki khud ko pehchan kr hi hum auron tak pohncey gy.
1rst january
- Get link
- X
- Other Apps
Saal ka phela din bhi guzar gaya aur yahan khuch naya nahi hua aur ho bhi kia sakta hey kuki hum ney kabhi khuch naya kerney ka socha hi nahi hey.wohi puraney tareqey sey naya saal manaya gaya wohi nach gana masti aur fireing jo hamesha kertey aye hein wohi kia .raat 12 bajey whi tamasha tha aur hum thay koi rokney tokney wala nahi fireing ka hona humaree hr khushi ka hissa hey jabkey humey pata hey ke iss sey humaree hr khushi gham mey badal jatee hey chaey shadi mey ho ya jeet ki khushi ya iss terhan ke events hon hr jageh iss ki wajeh sey khushian gharat ho jati hein pr kia krey koi aur tareeqa nahi sojhta siwaye iss ke aur jo isska nishana bantey hein unka Allah tou hey aur uskey baad media waley hein .effected logon ke gharon mey kia hua ya wahan kia khuram macha isska koi pursaney haal nahi . Behrhal yeh bhi zindzgi ka aik...
HUKMARANI
- Get link
- X
- Other Apps
Hr insan hukmarani ka shouq rakhta hey chahey woh chota ho ya bara, ameer ho ya ghareeb, sahib-e-ikhtiyare ho ya bey ikhtiyare,iss sey kissi ko koi farq nahi parhta Hukm chalaney ka shoq hr aik ko hota hey .hamarey yahan Mardon mey tou ye boht aam hey pr auratein bhi pheechey nahi hein Mia pr daao chal gaya tou chal gia warna bachey tou hein.Afsar apney maathet pr aur woh apney sey kam pr Hukm chalaney sey guraise nahi kerta bas jisko jahan moqa mil jaey,Hukmarani ka shouq rakhney waley akser afrad ko ye baat mery khyal mey pata hi nahi hoti ke Hukmarani kerne ky dou( 2) tareeqey Aik ye ke Dil pe ki jaey Dosery ye k Dimagh pr ki jaey,zyda ter loug dimagh pe hukmarani pr zyada zore detey hei iss ky faidey barey hein iss mey aapki Ego hurt nahi hoti aur foren ke foren baat puri hojatee hey bandey ki chahey aissi ki tessi hojaey,yeh hi tou chata hey Dimagh pr hukum chalaney wala bas ye tou boht asan kaam hey aur issko kerney mey koi nuqsan bhi nahi lakin Dil pr hukmarani kissi...
KHATA KA PUTLA
- Get link
- X
- Other Apps
Insan khata ka putla hey ye jumla mey ney bachpan sey leker ab tak najaney kitni martaba suna hey aur sun sun ke thak gayee hun yeh hum kehtey hi isliye hein ke khata kersakein ,khata kerney mey maza jo ata hey aur chatey hein koi humein dekhey bhi nahi aur agar dekh bhi ley tou iss jumley ko dohradein , kuki hum apni hi ghaltion ko nazarandaz kertey huey ye baat bohat bar dhuratey hein,
WE LOVE HAZRAT MOHAMMAD Salalah hu elehey wasallam
- Get link
- X
- Other Apps
Allah aur Allah ke rasool sallala hu aley wasallam ki mohabbat ke siwa iss dunia mey kuch nahi rakha ,baqi sab ki mohabbat inn ke baad atee hey.Zahir hey khalq ki mohabbat bhi hamarey Eman ka juz hey jiss ke liye khud Allah Taala hum sey farmata hey ke jiss ney merey NABI ki etaat ki usney merei etaat ki aur hamarey nazdeek Allah ke baad Hamarey Nabi sey barh kr koi nahi Woh tou kehta hey k sarey gunah mey maaf kerdonga lakin Haqoqul-ebad ki pakar hey. Aik muslam honey ki hasiat sey hum pr aur hamaree jaanoon pr sab sey zyada haq hamarey pyarey Nabi (SAW) ka hey,ye baat hr hr Musalmam janta ,samjhta aur manta hey iss liye iss pr koi samjhota nahi
GOHARE NAYAB
- Get link
- X
- Other Apps
Zakham kitney hi hon hr aik ki apni takleef hotee hey, bas kerna ye hota hey k waqt pr isski dekhbhal kerni hotee hey warna barh jaye tou aur bhi insan azeeyat ka shikar hojata hey.Ye waqt pr hi sahi ilaj sey theek hojaey tou acha hey aur ye tasally kerna bhi zarori hey k ye bhar gya he kuki isska pta nahi chalta k ye bhra hey k nahi,ooper sey bzahir sab sahi hi maloom hota hey lakin andar hi andar ye apni jageh bna raha hota hey aur waqt ki gard ki teh iss per jam jatee hey aur zindagi mamool pr ajatee hey.magar phir kabhi na kabhi woh lamha zaror ata hey jiska iss ko intezar hota hey aur woh phi Hara hojata hey naye sirey sey obharta hey bas wo aik hi sab pr bharee hojata hey,phir chahey kitney hi aur chout khaey wo itney takleef deh nahi hotee. han aisa zaror hota hey bohat sarey zakhmon mey dard taqreeban taqseem hojata hey ,koi aik bhi apni alag hasiyet nahi rakhta (siwaey puraney dard k) magr ihsas purey jism ko hota hey aur wo ihsas itni jaldi khatam bhi nahi h...