ANKHON KA KIA AITEBAR
Mein yeh ankhein kahan le jaon mein kia kron yeh mere bas mey nahi hein ,Woh aaj bhi bathee yeh hi soch rahi thee inn ankhon ney tou hameesha mujhey dhoka hi diya hey lakin auron ke sath inki wafa aur mery sath jafa yeh meree dost tou ho hi nahi saktee, abhi woh barbra hi rahi thi k uss ki aik akloti saheli ann phunchi. Arey ye kia? tumharee ankhon ko kia hua?aaj phir koi baat hoyee he na mujhey btao Zeenat bohat sarey swalat kartee chlee gai,lakin uss ney koi jwab nahi diya bas aik ansoon ki lari thi jo bohat kuch bta gai, phir Zeenat ney barey hi pyar sey uss ka chera apney hathon mey lia aur kehney lagi "tumhara naam Tabbassum key bjaey Naina hona chahey'' ...