Aaj sochty sochty thak gayee inti sochein itni bey rabt baatein itni shikayatein sab bey qaboo, Matlab soch aur fikr ki muh zor lehron mey bar bar dubki lagana ab mery bass se bahir hugaya tha mujhy inn sochon pr band bandhna hy, haan! aur phir mujhy ye ehsaas hua k inn bey rabt baaton aur sochon ko Aik munazzam tareeqa don isliye sochon ko Aik paper pr jama krna shuru kr diya aur ye tareeqa Meri Zindagi ki kitab ka muqadma(مقدمہ) ban gaya aur phir inn muh zorron ko lagam deni shuru ki. Mujhy ye ehsaas huny laga k mery pass khazana hy aur ye khazana jama krna khud pr bhi zydati hy aur unn logon k saath bhi zydati hugi Jo kahein na kahein inn tajarbaat se faida utha sakty hein Jo unhy Aik khatry ki ghanti ki terhan bajny pr khabrdaar kry gi. Agr che Meri Kahani sabaq amoz nahi hey Kuch ghaltiyan aur Kuch samjhoty hein jin se meney Kuch nhi seekha Uski wajeh ye bhi hi sakti hy mujhy ye ehsaas nhi dilya gaya k mey Kuch kabhi acha kr sakti hun isliye pe dr pe aesy waqeaat huty hi chaly g...