WAH RI QUDRAT TEREY KARISHMEY
Ye bara hee ajeeb topic hey lakin ye Qudrat sey shikwa nahi balkey ye tou Qudrat ki badhaee ka eitaraf he,hum apney aas pass boht se logon ko dekhtey hein hr koi kisi apney pyarey sey bichra hua hota hey koi iss dniya sey hi chala jata hey ya itni dour hota hey ke milney ka koi bahana bhi nahi ban pata,Wo pyarey hamarey itney qareeb hotey hein ke unki judaee mey jeena tasawer kerna bhi namumkin lagta hey. Magar wah ri Qudrat hum unkey bagher na sif jeena sekh letey hein balkey khuda humey iss gham sey barh kr gham jhelney ki taqat bhi deta hey, warna hr marney waley ke sath uskey pyarey bhi marjatey.Aur juda honey waley ke sath hamari Rooh bhi hum sey juda hojati. Ye jo jhelney ki taqat hey ye yaqeenan aik karishma hi hey warna hr insan chalti phirti laash hota aur hr ghar qabrustan.ya phir apney wajood ko aisey liye phirta jessey uss mey rooh hi na hu.